Thursday, May 20, 2010

Bhool sakta hai bhala kaun ye pyaari aankhein..
^_^rang mein doobi hui, neend se bhaari aankhein
meri har sonch ne, har saans ne, chaaha hai tumhe
jab se dekha hai tumhe, tab se saraaha hai tumhe
bas gai hain meri aankhon me, tumhaari aankhein
tum jo nazro'n ko uthaao to sitaare jhuk jaayein
tum jo palko'n ko jhukaao to zamaane ruk jaaye
inkyo na ban jaayein, in aankhon ki pujaari aankhein?
jaagti raato'n ko sapno ka khazaana mil jaaye
tum jo mil jaao to, jeene ka bahaana mil jaaye
apni qismat pa karein naaz, hamaari aankhein...
Bhool sakta hai bhala kaun ye pyaari aankhein.. ^_^ ???

Wednesday, May 19, 2010

Tum se pehle bhi kisi aur ne chaaha tha mujhe
yahi baatein, yahi andaaz-e wafa the uske
Uske bhi saamne the rasm-o rivaajo'n ke azaab
jitne bhi khwaab the, sab aabla-paa the uske
woh bhi sarkash tha bahot, apne khayaalo'n ki tarha
hausle ishq mein, maanind hawa the uske
tum pa bhi utri hain yeh wehshat'ein taaza'h taaza'h
mom se tum bhi bani hui ek moorat ho
Soch lo wo bhi aik aurat thi tumhaari jaisi
mukhtalif tum bhi nahi, tum bhi to aik aurat ho....
(Mukhtalif---> Different)